Monday, March 7, 2016

Sun Le Ae Khuda!

Rakhle ae khuda apne paas ye khushiyaan tere sansaar ki
Uske badle bas dede mujhe tu do ghadiyaan sache pyaar ki

Ye chaand sitare ye gagan ye badal
Phoolon se lehrata dharti ka aanchal
Chahe Holi ke rang bikhre hon Charon or
Ya ban mein nache khushi se koi mor

Ek pal na khushi de nazare in aankhon ko
Na sukha paye bheegi hui palkon ko
In nigaahon ko bas ek hi pyaas hai
Jo unka dard samajhe usi ki talaash hai

Ye nigaahein na maange khoobsurti tere darbar ki
Bas aas hai unhe ek sache dilwale yaar ki

Nadiyon ka beparwah ucchalna ho
Ya pakshiyon ka pyaar se chehckna ho
Kisi madhosh ghazal ka saaz ho
Ya Teri baansuri ki awaaz ho

Ye mere karno ko behla nahi pati
Ateeth ki galiyaron se laa nahi pati

Unhe pyaas hai shabdon ki
Jo dil ka sannata bhar De
Muskarne ki Jo wajah de
aur soona jahan roshan kar de

Nahi sunni koi awaaz mujhe tere sansaar ki
Mujhe bas suna De tu 2 baatein sacche pyaar ki

Tere sansaar mein jab aate hi
Kai rishte hame mil jate hain
Kuch khushi de to Kuch gam
Dono hi surton mein rulate hain

Par ye dil na behle in saare diye hue rishton se
Man na bhare kabhi na khatam hone wali baaton se

Ye dil chahe ek rishta jiska koi naam na ho
Shuruat to uski ho par anjaam na ho
Jahan shabdon ke bazaar me jazbaat nilam na ho
Dhadkane jaha sab keh De aur aankhon se hi kaam ho

Tu le le ye mehfilen....ye roshniyaan apne darbar ki
Aur dede mujhe bas do ghadiyaan sacche pyaar ki!! 

No comments:

Post a Comment