Main Bhi wahi khadi thi jab papa ne usse Godh mein uthaaya.
'Miliye mere bete se!', Papa ne kisi ko garv se bataya.
Main bhi wahi khadi thi, jab papa ghoda bane the.
Apni peeth par bithakar, usse sair kar rahe the.
Meri baari bhi aayegi, ye soch kar main muskayi.
Par meri baari se pehle hi, papa ki kamar dukh gayi.
Who bhi wahin khada tha, uski khata bhi wohi thi
Par daant to zyaada maine khayi,
Who chhupke hasa, sirf main royi thi.
Log usse kanhaiya kehkar chidhaate
Jab woh ladkiyaan taankta tha
Apna dupatta seedha karo,
Ye mujhe kaha jaata tha
‘Jo karna hai karlo, hoga mehnat se sab haasil’
yeh kehkar usse udne ki ijaazat mili
‘Kaamiyabi kise dikhaani hai? asli kaamiyabi ghar hai’
muje toh rasoi ghar ki viraasat mili.
Main bhi wahi khadi thi, jab uske pankhon ne bhar li udaan
Who bhi wohi khada tha, jab meri maang kehlayi meri pehchaan
Aaj apne ghar ka ‘Chirag’ hai Woh.
Apne sasural ke liye woh ‘Jamai’
Mera Sasural kahe main ‘Baaharwali’
Jisne Janm diya who kahe ‘Ab tu parayi’
No comments:
Post a Comment